Sunday, May 24, 2009

Nazm - Sahir Ludhianvi (from his novel Talkhiyan)

Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai
ke zindagi teri zulfon ki narm chaon mein guzarne pati
to shadaab ho bhi sakti thi
ye teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi
ajab na tha ke main begaana-e-alam ho kar
tere jamaal ke ranaaiyon mein kho rehta
tera gudaaz badan teri neembaaz aankhen
inhee haseen fasaanon mein mah ho rehta
pukarti mujhe jab talkhiyaan zamaane ki
tere labon se halaavat ke ghoont pee leta
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur main
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta
magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
ke tu nahin, tera gham, teri justjoo bhi nahin
guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
ise kisi ke sahaare ki arzoo bhi nahin
zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale
guzar raha hun kuch anjaani rahguzaaron se
muheeb saaye meri samt badhte aate hain
hayaat-o-maut ki purhaul khaarzaaron se
na koi jadaa, na manzil, na roshni ka suraag
bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri
inhi khalaaon mein rah jaoonga kabhi kho kar
main jaanta hoon meri hamnafas magar yun hi
kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai...

4 comments:

  1. A beautiful gem produced by Sahir....
    ...thankyou for such great works of yours.

    ReplyDelete
  2. jindagi ki kadvi sachhaiyo ko apne hunar se savrne ka naam tha Shahir

    ReplyDelete
  3. Kya haseen andaz men mohabbat ke jazbbat Ki akkasi Ki hai

    ReplyDelete